(Sorry to Nasir Ahmed Nasir famous Urdu poet of ‘Jab se tune diwana bana rakha
hai, Sang her Shakhsh ne hathooN me Utha rakha hai’)
Jab se begum ne mujhe murga bana rakha hai
MaiN ne nazrooN ki tarha sir bhi jhuka rakha hai
Bartano! Aaj merey sir pe barastey kyoN ho
MaiN ne tum ko to hamesha se dhula rakha hai
Pehley Belen ne banaya tha merey sir pe Ghomer
aur ab Chimtey ne mera gaal saja rakha hai
Sarey kaprey to jala daley haiN begum ne
tan chupaney ko Banyan phata rakha hai
Wahi Dunya maiN muqadder ka Sikander yahaN Tehra
Jis ne khod ko abhi Shaadi se bacha rakha hai
Pi ja is maar ki talkhi ko bhi haNs ker Nasir
Maar khaney maiN bhi Qudrat ne maza rakha hai

No comments:
Post a Comment