Followers

search here

Custom Search

Urdu Shayari

Zillaat ka Dagar ya asraar ka sagar,

Samandar hai aashnaa ,par shahdab hai dushwaar,

Fida ho har Ashique aisa Rukhsaar ka EK deewaar

Mai hoo tere ishq mei Aur tu hai bekabar

khurram hai ya ibtisaam;chahat ka Kya hai dastoor

Sailaab hai dil mei phir bhi kyu hai qaraar

Tanha Dil mei ye kaisa suroor;ye kaisa nigaar

Zindagi tere chahat mei huva mei is tarah beqaraar…………..

Agar Naseeb ko na hota dard ka pehchan,

Jaazib tabassum ka mehfil hota Apna jaha,

Shikwah na karta koi is Benaam zindagi se,

Dil ka naataa hota kisi maahjabeen se,

Maayoos na ho koi muqaddar apni tanhai se,

Hayaa nahi hai humhe apni Badnami se,

khafaa na ho koi zeenat is taalib ko dek kar,

yaaraanah na hota kaazib Ghazalo se………….

Zindagi Ek registhan si hai,
Na paani milthi aur na pyaas bhujthi,
Kismat hai EK adhura sach,
Waqt ke saath hum nahi,humare sang koi nahi……

Log kehte hamare adaye hai kuch ajnabee sa,
Absaar se ishaarah kyu nahi milthi
Aatish hai ,Shaadaab nahi ye duniya
Zamaane se Is liye apni tabiat nahi milthi………..

Ye zindagi toda hasade Humhe kabhi kabhi,

Varna waqt ke saath weeraan hai hum sabhi,

Hairaan hai ye taalib tere adao pe,

Hayaa nahi humhe apne jazbah pe,

Baqee ho shayad kuch laazim Lamhe ,

Un Tabassum ki nazar to laga de hume bhi kabhi kabhi…………

Ab na raha koi aashiyaan Is dil mei,

Baarish na barse koi pari apne weeraan mehfil mei,

Betaab Safar ka dard hota hai dushwaar,

Dil ke Waahid naftrato se kare na koi iqraar,

IS Khaamosh muskaan se hata na de koi pardah,

Dik na jaaye apne Zasbaat ka koi taabish Daabar,

Registhan ka hasti hoo mei,

Na kare koi shaadaab ka intezaar………

No comments:

Post a Comment